mera to kya khushi mein rahun ya malal mein tum khush raho jahan bhi raho jis khayal mein hun mahw main to aisa kisi ke khayal mein kuchh imtiyaz hi nahin hijr-o-visal mein tere khayal hi ki badaulat hai zindagi tu hai to ek jahan hai mere khayal mein hail agar hazar hon parde to kuchh nahin tum ho meri nigah mein dil mein khayal mein hota rahe karam jo yunhi ai khayal-e-yar laghzish na ho kabhi mere pa-e-khayal mein hai tu to har ghadi meri aankhon ke samne aata hun main bhi kya kabhi tere khayal mein sher-o-sukhan ki 'arzu' ab dad kya mile zauq-e-sukhan hi jab nahin ahl-e-kamal mein