main hun wo rind mere jate hi mai-khane mein munh surahi bhi chhupane lagi paimane mein wah kya wahshat-e-dil hai ki ilahi tauba ghar mein rahta hun magar rahta hun virane mein jin se ummid main rakhta hun hazaron afsos mere ghar tak bhi takalluf hai unhen aane mein shaikh ji aaj to dastar-e-fazilat bhi nahin rehn kya us ko bhi rakh aae ho mai-khane mein dard sar ka hai bahana to kabhi mehndi ka roz ek uzr hai un ko mere ghar aane mein