mera wajud shumar-e-nafas mein aaya nahin tamam-umr main sanson ke bas mein aaya nahin nuqush-e-lams-e-haqiqat mitane wala tha magar wo khwab meri dastaras mein aaya nahin sawal ye hai ki dasht-e-badan ka kya hoga agar junun ka parinda qafas mein aaya nahin ajab nahin ki ye bahen kuchal ke rakh detin bhala hua wo hisar-e-hawas mein aaya nahin ye kaun hai jo hamein tul deta rahta hai ye kaun hai jo zad-e-pesh-o-pas mein aaya nahin