ye pani yahin tha hamare bina azal se koi rup dhaare bina khuda par bharosa nahin ho raha hawa chal rahi hai tumhaare bina jo marta na ho pyar us se karen koi to ho paida sahaare bina yahi sach hai par ye hi ghaflat bhi hai kahin kuchh nahin hai pukare bina khuda ko kabhi to haraenge hum marenge nahin jang haare bina