mera yaqin hai wo aaina nikalegi

mera yaqin hai wo aaina nikalegi
wo naqs mujh mein hi phir kuchh naya nikalegi

mujhe bhi kuchh nahin kahna ki ab khamoshi hi
hamare beach koi rasta nikalegi

jabin pe us ki shikan hai na aankh mein pani
bhala wo dil se hamein aur kya nikalegi

meri khamoshi ka matlab tha sirf khamoshi
wo is mein pahlu magar dusra nikalegi

ai duniya bol magar kuchh nahin sununga main
zaban se jo bhi tu achchha bura nikalegi

hamein na sudh hai na hum dastaken hi sunte hain
tu apne dil se hamein kya bhala nikalegi

main duriyon mein bhi nazdikiyan nikalta hun
wo faslon mein bhi kuchh fasla nikalegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close