mere aage wo surat aa rahi hai nigah-e-arzu tharra rahi hai sada-e-zindagi ye aa rahi hai tamanna aazmai ja rahi hai tawajjoh se suno tum naghma-e-ishq hamari aarzu kuchh ga rahi hai zara sahra-nawardi kijiye phir hamein wahshat yahi samjha rahi hai ilahi ho dil-e-betab ki khair kisi ki yaad phir tadpa rahi hai badha jata hai darman se mera dard sada-e-dil ye paiham aa rahi hai rukh-e-rangin kisi ka hai nazar mein bahaar-e-zindagi itra rahi hai mashiyyat nam hai taqat ka shayad abas ghairat teri sharma rahi hai tasawwur aur phir lutf-e-tasawwur hamein to nind is se aa rahi hai nigah-e-naz ko jumbish to phir do na jaane kyon ada ye bha rahi hai hayat-o-maut ki is kashmakash ko ajal bhi dekh kar ghabra rahi hai sunaun dastan-e-zindagi kya musibat par musibat aa rahi hai sanbhal jae tabiat ghair mumkin tamanna kyon ise bahla rahi hai mubarak ho nawed-e-marg tum ko hamari be-kasi ye ga rahi hai hawa-e-ranj ki tasir dekho masarrat ki kali kumhla rahi hai karun sair-e-bayaban ab 'wafa' main meri wahshat mujhe le ja rahi hai