nigah-e-sharmagin sahr-afrin malum hoti hai

nigah-e-sharmagin sahr-afrin malum hoti hai
ye dushman hai magar dushman nahin malum hoti hai

moattar hai masham-e-jaan bahaar-e-husn-e-rangin se
khuli phir aaj zulf-e-ambarin malum hoti hai

kahin hairat mein nargis hai kahin gul chaak-daman hai
mohabbat ki faza kitni hasin malum hoti hai

udai khak main ne is qadar ku-e-mohabbat ki
ki apne sar pe bhi mujh ko zamin malum hoti hai

khalish-ha-e-tamanna ki shikayat kya dil-e-nadan
mohabbat mein musibat bhi kahin malum hoti hai

khuda jaane chaman mein aaj kya guzri nasheman par
pareshan khud-bakhud jaan-e-hazin malum hoti hai

ye aakar dil mein phir dil se nahin mitti nahin jati
hasinon ki tamanna bhi hasin malum hoti hai

bahaar-e-gulshan-e-hasti pe kyon nazan hai ai gulchin
chhupi shayad khizan is mein nahin malum hoti hai

'wafa' ho ya jafa ho kuchh nahin is se gharaz mujh ko
kisi ki har ada dil ko hasin malum hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close