mere aasab pe chhati hi chali jati hai koi surat mujhe bhati hi chali jati hai sans dar sans musafir hain ghubar-aluda zindagi khak udati hi chali jati hai kaun karta hai samaat ke taqaze pure khamushi shor machati hi chali jati hai dekh ashkon ka samundar hai mere chaaron taraf mauj-e-gham mujh ko bahati hi chali jati hai tirgi hai ki bhatakti hai teri galiyon mein raushni rah dikhati hi chali jati hai mere sab zakhm hain naqqad mere sheron ke shairi hashr uthati hi chali jati hai rokne wale mujhe rokte rahte hain 'fida' shairi aage badhati hi chali jati hai