mere afkar ne jis shai se jila pai hai

mere afkar ne jis shai se jila pai hai
ishq ki zinda-dili husn ki ranai hai

shakh-e-gul mein jo nazakat jo lahak aai hai
teri bahon ki lachak hai teri angdai hai

phir ubharne lage na khasta-mazi ke nuqush
lauh-e-dil par koi taswir ubhar aai hai

gham-o-andoh ke is daur mein kya aish-o-nishat
shadyane hain khushi ke na wo shahnai hai

zindagi hai ki bulati hai taqazon ki taraf
dil giraftar-e-kham-e-zulf-e-chalipai hai

rahiye khamosh to haalat bigad jate hain
aur kuchh kahiye to andesha-e-ruswai hai

dil wo kya hai ki na ho jis mein mohabbat ka junun
sar wo kya hai ki jo be-waza jabin-sai hai

main ki darpesh hai mujh ko safar-e-dur-o-daraaz
aur ek wo hain ki un ko gham-e-tanhai hai

koi marham na mudawa koi phaha na dawa
zist odhe hue zakhmon ki rida aai hai

zarf-o-himmat se siwa di nahin jati taklif
itna gham dete hain jitni ki shakebai hai

'taj' ye zor-e-bayan jo bhi sukhan mein kuchh hai
asar-e-tarbiyat-e-shewan-e-minai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close