pahle to na thi itni tab-o-tab ghazal mein

pahle to na thi itni tab-o-tab ghazal mein
kaam aa gai gham-khwari-e-ahbab ghazal mein

dil par se tere gham ka abhi abr chhata hai
chamka hai teri yaad ka mahtab ghazal mein

yaron ko kisi taur bhi nashsha nahin hota
jab tak ki na shamil ho mai-e-nab ghazal mein

jis se khalish-e-dard ka aaghaz hua hai
raqsan hai wahi paikar-e-simab ghazal mein

har misra-e-tar takhta-e-gulzar ki surat
rangon ki hai ek wadi-e-shadab ghazal mein

go dard ke izhaar ki aadat to nahin thi
pina hi pada hum ko ye zahr-ab ghazal mein

asnaf-e-sukhan aur bhi ai dost bahut hain
rangin hai meri zist ka har bab ghazal mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close