mere andar ka ghurur andar guzarta rah gaya sar se panw tak utarna tha utarta rah gaya barishon ne phir wahi zahmat uthai der se ek registan hai ki phir bhi pyasa rah gaya zindagi bhar aankh se aansu nadamat ke gire aur mere dil ka suffa yun hi sada rah gaya pahli barish hi mein taqwa ke nishan sab dhul gae sar mein ek tuta hua mazlum sajda rah gaya kaise hoga ab khudai bandagi ka faisla shahr ke sare khuda mein ek banda rah gaya jald manzil tak pahunchne ka junun us ko raha zindagi bhar is liye rasta badalta rah gaya