aisa wo be-shumar-o-qatar intizar tha pahli hi bar dusri bar intizar tha khamoshi-e-khizan thi chaman-dar-chaman tamam shakh-o-shajar mein shor-e-bahaar intizar tha dekha to khalwat-e-khas-o-khashak khwab mein raushan koi charagh-e-sharar intizar tha bahar bhi gard umid ki udti thi dur dur andar bhi chaaron-samt ghubar intizar tha phaile hue wo ghas ke takhte na the wahan dar-asl ek silsila-war intizar tha koi khabar thi aamad-o-imkan-e-subh ki aur us ke ird-gird hisar intizar tha kis ke guman mein the nae mausamon ke rang kis ka mere siwa sarokar intizar tha umda hua hujum-e-tamasha tha daen-baen tanha thin aankhen aur hazar intizar tha chakkar the panw mein koi sham-o-sahar 'zafar' upar se mere sar pe sawar intizar tha