mere armanon ko pamal-e-ziyan rahne bhi de shauq-e-manzil ko sharik-e-karwan rahne bhi de wada-o-paiman-e-ulfat ko na de lafzon ka rang dard se labrez nalon ko jawan rahne bhi de dekh mujh ko hasrat-aluda nigahon se na dekh ye fusun ye shokh andaz-e-bayan rahne bhi de hail-e-ulfat agar hai zindagi ki kashmakash zindagi ki kashmakash ko darmiyan rahne bhi de main jahan hun jis tarah hun khub hun dil-shad hun hasil-e-ulfat hain ye barbaadiyan rahne bhi de wo guzishta aish-o-ishrat wo nashat-e-zindagi khwab tha is khwab ki ranginiyan rahne bhi de dost majbur-e-wafa ho kar na kha dil ka fareb zindagi par kaamrani ka guman rahne bhi de naqsh-e-gham ko kyon mitati hai dil-e-ghamgin se ye meri khunin bahaaren be-khizan rahne bhi de