ek aas ka dhundla saya hai ek pas ka tapta sahra hai kya dekh rahe ho aankhon mein in aankhon mein kya rakkha hai jab khone ko kuchh pas bhi tha tab pane ka kuchh dhyan na tha ab sochte ho kyun sochte ho kya khoya hai kya paya hai main jhut ko sach se kyun badlun aur raat ko din mein kyun gholun kya sunne wala bahra hai kya dekhne wala andha hai har khak mein hai gauhar ghaltan har gauhar mein mitti raqsan jis rup ke sab gun gate hain wo rup bhi kis ne dekha hai kis dil ki baat kahen hum tum kis dil ka dard sahen hum tum dil patthar hai dil shisha hai dil sahra hai dil dariya hai ab sare tare kankar hain ab sare hire patthar hain is basti mein kyun aae ho is basti mein kya rakkha hai ye marna jina bhi shayad majburi ki do lahren hain kuchh soch ke marna chaha tha kuchh soch ke jina chaha hai