mere ashaar mein alfaz ke jauhar dekho band hai fikr ke kuze mein samundar dekho har taraf jalwa-fagan nur ka manzar dekho dekhne walo mere qalb ke andar dekho dasht-e-zulmat se ujalon ka tajassus le kar dosto aao ba-sad-shauq mera ghar dekho sang-e-dushnam uthate ho uthao lekin apne kirdar ki tahrir to padh kar dekho mauj-dar-mauj abhi aks bikhar jaega jhil ke chehre pe tum phenk ke patthar dekho subh ki pahli kiran jhank gai rauzan se band kamre se nikal kar zara bahar dekho ru-ba-ru chehre ki tausif-pasandi se pare khud ko kirdar ke aaine mein 'nashtar' dekho