mere ashjar azadar hue jate hain ganw ke ganw jo bazar hue jate hain abhi hijrat ka irada bhi nahin hai mera raste kis liye dushwar hue jate hain jo fariqain ke mabain sulajh sakte the masale surkhi-e-akhbar hue jate hain sahab-e-izz-o-sharaf ek nazar hum par bhi teri duniya mein bahut khar hue jate hain aisi ashya-e-zamana mein kashish hai ki sabhi dekh duniya ke talabgar hue jate hain main kinare pe khada dekh raha hun aur log jast bhar bhar ke sabhi par hue jate hain khushk patton ki tarah hum bhi to 'ahmad'-irfan tut kar shakh se be-kar hue jate hain