wo shab-e-gham jo kam andheri thi wo bhi meri ana ki subki thi gham meri zindagi mein tut gira warna ye shor-dar naddi thi din bhi shab-rang ban gae apne pahle suraj se aankh milti thi kya maqalat-e-ashiqi padhte bazm mein hum ne aah khinchi thi jal rahe the hare-bhare jangal aisi be-waqt aag phaili thi main khada tha ukhadte patthar par wo usi tarah shant lagti thi is liye be-karan mein ja pahunche dur tak rahguzar andheri thi is liye shahr mein rahe betab tab-kari hawa mein phaili thi chand roz aur muntazir rahte waise mil kar bhi jaan deni thi shab-e-ranj-o-mahan ka zikr na kar us ki har ek ghadi nashili thi hum bhi 'aslam' isi guman mein hain hum ne bhi koi zindagi ji thi