mere badan ki tapish ruh tak utarega wo aaine mein kabhi mera rup dhaarega shuur-e-gham use dohraega hazaron bar ye ek raat kai sal tak guzarega kabhi to aaegi baad-e-sumum is jaanib kabhi to waqt mujhe shakh se utarega yun nange sar na chalo kucha-e-tasawwur mein khayal lafz ka patthar utha ke marega ai ahl-e-shahr uthao na itne unche makan shab-e-firaq kise rasta pukarega hawas ka aks padega akele kamre mein koi na hoga to aaina aankh marega wo lad-jhagad ke chala to gaya hai dur kahin na jaane 'ashk' mujhe kis tarah bisarega