patthar ki bhuri ot mein lala khila tha kal aaj us ko noch le gain wo bachchiyan janab aankhon mein raushni ki jagah tha khuda ka nam panw tuda ke mar rahe jate kahan janab hum barg-e-zard sabz khalaon mein chhup gae hum ko hawa-e-sard thi sang-e-giran janab bose ke dagh se hai munawwar jabin magar jalti padi hai shama si pyasi zaban janab kali zamin pe chhanti darichon se raushni bahar to jhankiye hai anokha saman janab nili chamakti dhup to bikti nahin kahin hum kis ke hath bech den lafz-o-bayan janab