sach kah 'raza' ye kis se lagai hai sat-bat kuchh phir hai in dinon mein tera ji nipat uchat dekhenge kyun ke chashmon se jate rahoge tum lakht-e-jigar ki chauki bithai hai ghat ghat tukde chune hain dil ke jo aaankhon ke khwan hain hai kis ke mehmani ka ai marduman ye that apni gali ke aane se mujh ko na mana kar bad-nam ho ge band karega jo rah bat us chashm-o-dil ne kahna na mana tamam umr hum par kharabi lai ye ghar hi ki phut-phat rahne de apni bazm mein kuchh bolun main agar manind-e-shama phir wahin meri zaban ko kat ab is gali mein aata jo hai har ghadi 'raza' kuchh to mili hai wan se tujhe meri bat chat