mere bas mein ya to ya-rab wo sitam-shiar hota ye na tha to kash dil par mujhe ikhtiyar hota pas-e-marg kash yun hi mujhe wasl-e-yar hota wo sar-e-mazar hota main tah-e-mazar hota tera mai-kada salamat tere khum ki khair saqi mera nashsha kyun utarta mujhe kyun khumar hota main hun na-murad aisa ki bilak ke yas roti kahin pa ke aasra kuchh jo umid-war hota nahin puchhta hai mujh ko koi phul is chaman mein dil-e-dagh-dar hota to gale ka haar hota wo maza diya tadap ne ki ye aarzu hai ya-rab mere donon pahluon mein dil-e-be-qarar hota dam-e-naza bhi jo wo but mujhe aa ke munh dikhata to khuda ke munh se itna na main sharmsar hota na malak sawal karte na lahad fishaar deti sar-e-rah-e-ku-e-qatil jo mera mazar hota jo nigah ki thi zalim to phir aankh kyun churai wahi tir kyun na mara jo jigar ke par hota main zaban se tum ko sachcha kaho lakh bar kah dun ise kya karun ki dil ko nahin e'tibar hota meri khak bhi lahad mein na rahi 'amir' baqi unhen marne hi ka ab tak nahin e'tibar hota