is aankh mein khwab-e-naz ho ja ai hijr ki shab daraaz ho ja asrar tamam khul rahe hain tu apne liye bhi raaz ho ja ai naghma-nawaz aakhir-e-shab aahang-e-shikast-e-saz ho ja diwar ki tarah band kyun hai dastak koi de to baz ho ja ab din to ghurub ho raha hai sae ki tarah daraaz ho ja yan fath sabab hai sar-kashi ka tu haar ke sarfaraaz ho ja tu shisha bane ki sang kuchh ban andar se magar gudaz ho ja us aankh se sikh raaz-e-ismat khul khel ke pak-baz ho ja