mere chehre se gham aaankhon se hairani na jaegi yahi surat rahegi aur pahchani na jaegi tumhaara jhut mere sach ka qatil hai magar duniya tumhaari man jaegi meri mani na jaegi ana sar chadh gai hai ek bagule ki tarah aisi ki sar jaega ek din khu-e-uriyani na jaegi tumhaare pas zanjiren hamare dast o pa zakhmi lahu zinda hai jab tak apni man-mani na jaegi mera dukh bhi nawishta hai meri taqdir ka shayad jo main gul hun to meri chaak-damani na jaegi saba aawara phirti hai nawah-e-jaan mein barson se ye wo khitta hai jis se us ki virani na jaegi qalam dil mein dubo kar bhi 'mujibi' kuchh na hath aaya ye wo ehsas hai jis ki pashemani na jaegi