usne mai pi ke sar-e-bazm jo saghar ulTa

us ne mai pi ke sar-e-bazm jo saghar ulta
waraq-e-anjuman-e-dahr sarasar ulta

dekhne wale ko duniya hai sarapa taswir
go hai aaine mein aks rukh-e-dilbar ulta

kar diya aa ke chaman ko tah-o-baala kis ne
koi sidha hai yahan koi gul-e-tar ulta

naz se mujh ko sar-e-bazm jo saqi ne diya
hath tharrae kuchh is tarah ki saghar ulta

ai khuda kya yun hi aati hai kisi dost ki yaad
aa gaya munh ko kaleja dil-e-muztar ulta

dad-khwahan-e-mohabbat ka ye amboh-e-kasir
dil mera dekh ke hangama-e-mahshar ulta

jis pe ki baith ke waiz ne mazammat mai ki
majlis-e-waz mein rindon ne wo mimbar ulta

ya zamane mein mohabbat ke fasane hain ghalat
ya mera naqsh-e-wafa hai mere dil par ulta

ta-kuja ai dil-e-bimar ye rahat-talabi
umr bhar jab se bichha phir na ye bistar ulta

uth gai aaj zamane se bisat-e-ulfat
bistar-e-marg mera us ne ye kah kar ulta

ashk-bari-e-shab-e-hijr ka kya haal likhun
dida-e-tar ne 'nazar' ek samundar ulta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close