mere dast-e-junun ki fitna-samani ko kya kahiye

mere dast-e-junun ki fitna-samani ko kya kahiye
ki ek aalam pareshan hai pareshani ko kya kahiye

jahan-e-rang-o-bu ki wusaten waqat nahin rakhtin
mere josh-e-takhayyul ki farawani ko kya kahiye

kisi ki yaad se qaem hai raunaq bazm-e-imkan mein
kisi ki yaad ke jalwon ki tabani ko kya kahiye

lab-e-lalin se pine mein mujhe kya aar hai hamdam
sisakti chikhti is nau-e-insani ko kya kahiye

kisi surat dil-e-mahzun ko bahlaya nahin jata
dil-e-mahzun ki is turfa pareshani ko kya kahiye

yahi maujen kabhi rukh pher deti thin safinon ka
inhin maujon ki ab be-saz-o-samani ko kya kahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close