mere dil ka jo nigahban na hua tha so hua jis ka mujh par koi ehsan na hua tha so hua us ne bhi dekh liya meri wafaon ka asar jo jafaon pe pasheman na hua tha so hua ek wahi raaz jise dil mein chhupaya barson shiddat-e-gham se numayan na hua tha so hua is tawajjoh se mujhe dekh raha tha koi main to itna kabhi hairan na hua tha so hua hasraten khatm huin koi tamanna na rahi zindagi se main gurezan na hua tha so hua aa gaya waqt ye kaisa ki ilahi tauba jo shikar-e-gham-e-dauran na hua tha so hua sehn-e-gulshan mein hui shoala-fishani har-su yun kabhi jashn-e-bahaaran na hua tha so hua dafatan mere shabistan mein wo aae 'ahmad' dard-e-dil ka mere darman na hua tha so hua