mila wo shaKHs magar arsa-e-bahaar ke baad

mila wo shakhs magar arsa-e-bahaar ke baad
hazar chand sitaron ke intizar ke baad

zamin pe phul khile hain to kis zamane mein
mohabbaton se mahakte hue dayar ke baad

teri talash mein nikle hain lakh diwane
bade azab bade zulm-o-intishaar ke baad

hazar ahl-e-tamanna se ham-kalam raha
magar mili na tasalli sukut-e-yar ke baad

hamara haal to us se kahe koi ja kar
ki intizar hai us ka har intizar ke baad

charagh-e-lala-o-gul hain ki hain bahut raushan
wahi bahaar hai har mausam-e-bahaar ke baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close