mere dil ki gahraiyon mein utar jigar-soz tanhaiyon mein utar tu apne bayan ko muallaq na chhod falak-dar sachchaiyon mein utar meri nabz-e-izhaar par rakh ke hath tu ehsas ki ghatiyon mein utar siyah niyyaton ka ufaq chhod kar mahak-dar achchhaiyon mein utar koi rukh to dhaarega dulhan ka rup har ek rukh ki angdaiyon mein utar 'saba' tu liye hauslon ki baraat tajassus ki shahnaiyon mein utar