ped bewa ho gae aur pattiyan sab ud gain muskuraate mausamon ki dhajjiyan sab ud gain dafn jab se ho gai hain azmaten pahchan ki chahaten hain khushk rishtedariyan sab ud gain bulbulon ka chahchahana hai na kheton ki qatar kya laga ke pankh apni bastiyan sab ud gain nafraton ki aanch ne jab chhu liya hai aasman zindagi se aapsi hamdardiyan sab ud gain kal talak thi hukm-rani tirgi ki har taraf raushni aate hi ghar ki battiyan sab ud gain is qadar unchi hui hain aadamiyyat ki lawen aasman ki samt hi parchhaiyan sab ud gain har nae din dhup ki kirnon se mil kar kyon 'saba' nim-baz aankhon se shab ki mastiyan sab ud gain