mere dil ki khataen bhi qayamat hain qayamat hain khataon par sazaen bhi qayamat hain qayamat hain kahan se main kahan aaya kahan se dil kahan pahuncha mohabbat ki hawaen bhi qayamat hain qayamat hain nahin malum kya roz-e-jaza pesh aane wala hai qayamat mein sazaen bhi qayamat hain qayamat hain koi jita hai un se aur marta hai koi un par lagawat ki adaen bhi qayamat hain qayamat hain ilaj-e-ishq se ai chaara-gar taklif badhti hai mere haq mein dawaen bhi qayamat hain qayamat hain yahi kahta hai sun sun kar wo ahl-e-gham ke nalon ko faqiron ki sadaen bhi qayamat hain qayamat hain idhar meri tabiat bhi nahin rukti nahin thamti udhar un ki adaen bhi qayamat hain qayamat hain chalo rindon badho aao piyo phir fasl-e-gul aai ye saqi ki sadaen bhi qayamat hain qayamat hain kahin aisa na ho badh jae pahle se junun mera ghataen bhi hawaen bhi qayamat hain qayamat hain qayamat ke jo munkir hon wo dekhen meri aaankhon se hasinon ki adaen bhi qayamat hain qayamat hain dam-e-be-dad wo ai 'nuh' dil mein ye samajh rakkhe hamari bad-duaen bhi qayamat hain qayamat hain