wusat hai wahi tangi-e-aflak wahi hai jo khak pe zahir hai pas-e-khak wahi hai ek umr hui mausam-e-zindan nahin badla rauzan hai wahi dida-e-namnak wahi hai kya chashm-e-rafu-gar se shikayat ho ki ab tak wahshat hai wahi sina-e-sad-chaak wahi hai har chand ki haalat muafiq nahin phir bhi dil teri taraf-dari mein saffak wahi hai ek hath ki jumbish mein dar-o-bast hai warna gardish wahi kuza hai wahi chaak wahi hai jo kuchh hai mere pas wo mera nahin shayad jo main ne ganwa di meri imlak wahi hai zoron pe 'salim' ab ke hai nafrat ka bahaw jo bach ke nikal aaega tairak wahi hai