mere dil ko supurd-e-gham na karna

mere dil ko supurd-e-gham na karna
mere ehsas par patthar na dharna

mere jine ki apni hi ada hai
mujhe malum hai hans hans ke marna

meri sanson mein bhi kuchh zahar sa hai
mere nazdik se bach kar guzarna

mujhe apnon ne wo dhoke diye hain
mujhe aata nahin ghairon se darna

wafa ki aad mein luta gaya hun
bahut mushkil hai ab mera sanwarna

mere ujde hue gulshan ke phulo
meri barbaadiyon ka gham na karna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close