padhne ko bahut kuchh hai kitabon ke alawa kuchh aur padho yar nisabon ke alawa kya aur bhi kuchh log yahan jaan se guzre hum ishq-zada khana-kharabon ke alawa har roz naya roz-e-qayamat hai zamin par ab yaad nahin kuchh bhi azabon ke alawa sunte hain koi jogi yahan aaya hua hai tabir batata hai jo khwabon ke alawa gar dekh rakha ho to koi hum ko batae duniya ki haqiqat ko sarabon ke alawa jo 'naz' ko padhte hain wo phulon ki dukan se kuchh aur nahin lete gulabon ke alawa