mere dil mein hai ki puchhun kabhi murshid-e-mughan se ki mila jamal-e-saqi ko ye tantana kahan se wo ye kah rahe hain hum ko tere haal ki khabar kya tu utha saka nigahen na bata saka zaban se jo unhen wafa ki sujhi to na zist ne wafa ki abhi aa ke wo na baithe ki hum uth gae jahan se main adam ke lala-zaron mein nawa-gar-e-azal tha mujhe khinch lai zalim teri aarzu kahan se meri sarnawisht mein tha wahi dagh-e-na-muradi jo mila meri jabin ko tere sang-e-astan se bache bijliyon ki zad se wahi taeran-e-dana jo kadak chamak se pahle nikal aae aashiyan se ye hai majra-e-wahshat ki mila suragh-e-mahmil na ghubar-e-karwan se na dara-e-karwan se nahin kuchh samajh mein aata ye ajib majra hai ki zamin ke rahne walon ko hidayat aasman se shab-e-gham jo aai 'salik' mite baatni andhere mera dil hua munawwar tab-o-tab-e-jawedan se