dhul na banna aainon par bar na hona binai ke raste ki diwar na hona shahron ka wirsa hain jalte-bujhte manzar rahna lekin ham-rang-e-bazar na hona zahr-hawaen purwa rangon mein chalti hain sada kaliyo un ke liye gulnar na hona milne ka khilne ka mausam dur nahin hai nakhl-e-matam ai mere ashjar na hona main ne chaman ki khatir kaun se dukh jhele hain shakh-e-bahaaran mere liye gul-bar na hona