mere dil mein kyon pahla sa dard nahin aalam nahin mil to gaya hai qismat se aaram magar aaram nahin saqi teri mahfil mein ye turfa-tamasha kya mani mere hath mein saz hai lekin tere hath mein jam nahin ghuncha chatka patta khadka ya dil dhadka kis ko khabar kuchh bhi sahi ai mai-khwaro aawaz-e-shikast-e-jam nahin khidmat-e-urdu pesh-e-nazar hai 'ahsan' ka pesha na samajh ahl-e-sukhan mein nam hai be-shak lekin wo badnam nahin