meri nazar mera apna mushahida hai kahan jo mustaar nahin hai wo zawiya hai kahan agar nahin tere jaisa to farq kaisa hai agar main aks hun tera to aaina hai kahan hui hai jis mein wazahat hamare hone ki teri kitab mein aakhir wo hashiya hai kahan ye ham-safar to sabhi ajnabi se lagte hain main jis ke sath chala tha wo qafila hai kahan madar mein hun agar main to hai kashish kis ki agar main khud hi kashish hun to daera hai kahan teri zamin pe karta raha hun mazduri hai sukhne ko pasina muawza hai kahan hua bahisht se be-dakhl jis ke bais main meri zaban par us phal ka zaiqa hai kahan azal se hai mujhe darpesh daeron ka safar jo mustaqim hai ya rab wo rasta hai kahan agarche is se guzar to raha hun main 'asim' ye tajraba bhi mera apna tajraba hai kahan