mere diwar-o-dar aansu mera rakht-e-safar aansu tera daman na hoga gar to jaenge kidhar aansu palat aai dua phir kyon koi khurshid manga tha magar kya arsh tak jate mere be-baal-o-par aansu wo patthar dil mujhe mahfil mein hanste dekh hairan tha main danista hi rakh aai thi us din apne ghar aansu hawa thi aisi ghussaili ki baadal le udi sare ye gham sahne mein sukhe hain zamin ke kis qadar aansu shab-e-tanha nazar aata hai tujh mein aks ye kis ka meri aankhon mein rahta hai to meri fikr kar aansu