meri tanhai bantte hain waraq hath ka lams mangte hain waraq main ki khamosh padhne lagti hun kuchh na kuchh jaise bolte hain waraq ho chuka hai jo ilm ab nayab aur jo phailega jaante hain waraq sochta hai ye zehn kya kya kuchh be-sabab hum ulat rahe hain waraq hosh-mandi se diary likhna donon jaanib se dekhte hain waraq ruh ko do-jahan ki rahat den rehl par rahbar rakhen hain waraq