mere fikr o fan ko nai faza nae baal-o-par ki talash hai

mere fikr o fan ko nai faza nae baal-o-par ki talash hai
jo qafas ko yas ke phunk de mujhe us sharar ki talash hai

hai ajib aalam-e-sarkhushi na shakeb hai na shikastagi
kabhi manzilon se guzar gae kabhi rahguzar ki talash hai

mujhe us junun ki hai justuju jo chaman ko bakhsh de rang o bu
jo nawed-e-fasl-e-bahaar ho mujhe us nazar ki talash hai

mujhe us sahar ki ho kya khushi jo ho zulmaton mein ghiri hui
meri sham-e-gham ko jo lut le mujhe us sahar ki talash hai

yun to kahne ke liye chaaragar mujhe be-shumar mile magar
jo mizaj-e-gham ko samajh sake usi chaaragar ki talash hai

mere naseha mere nukta-chin tujhe mere dil ki khabar nahin
main harif-e-maslak-e-bandagi tujhe sang-e-dar ki talash hai

mujhe ishq husn o hayat se mujhe rabt fikr o nashat se
mera sher naghma-e-zindagi tujhe nauhagar ki talash hai

use zid ki 'wamiq'-e-shikwa-gar kisi raaz se na ho ba-khabar
mujhe naz hai ki ye dida-war meri umr bhar ki talash hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close