main sirf wo nahin jo nazar aa gaya tujhe muzhda phir izn-e-bar-e-digar aa gaya tujhe sahra mein jaan dene ke mauqe to ab bhi hain wo kya junun tha le ke jo ghar aa gaya tujhe pahle kabhi to maut ko tujh se gila na tha jine ka aaj kaise hunar aa gaya tujhe is daur mein ye fakhr bhi kis ko nasib hai chehra to aaine mein nazar aa gaya tujhe is shahr mein to kuchh nahin ruswai ke siwa ai 'dil' ye ishq le ke kidhar aa gaya tujhe