mere hamrah sitare kabhi jugnu nikle justuju mein teri har raat muhim-ju nikle teri roti hui aankhen hain meri aankhon mein warna patthar mein kahan jaan ki aansu nikle sans lene ki jasarat bhi na kar paunga jism se mere jo pal bhar ke liye tu nikle ahl-e-dil yunhi tar-o-taza nahin rakhte unhen zakhm bhar jaen to mumkin nahin khushbu nikle zikr mein tere gawara nahin itna bhi mujhe ma-siwa tere koi aur bhi pahlu nikle teri chaukhat pe pahunchna hai salamat mujh ko jaan pyase ki jo nikle to lab-e-ju nikle main wo nadan ki dhundun koi apne jaisa aur ahbab the 'azim' ki arastu nikle