har irada sina-e-shamshir mein Duba hua

har irada sina-e-shamshir mein duba hua
haal hai kis nashsha-e-taskhir mein duba hua

aankh to ab tak tilism-e-khal-o-khad ki hai asir
dil nikalta hi nahin taswir mein duba hua

harf to sare ke sare be-sada mujh ko lage
khat agarche tha bahut tahrir mein duba hua

baam-e-dar ke tutne mein hi kahin maujud hai
ek imkan khwahish-e-tamir mein duba hua

wo achanak samne aaya to mujh ko yun laga
khwab tha jaise koi tabir mein duba hua

khinch laenge use 'jawed'-ahmad ek din
adl hai kis halqa-e-zanjir mein duba hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close