mere haq mein koi aisi dua kar main zinda rah sakun tujh ko bhula kar fasurda hun tujhe kho kar ki jaise koi bachcha qalam takhti ganwa kar yahan suraj se khali din hain sare kaha to tha tujhe raushan diya kar bhulane ki main koshish kar raha hun teri taswir kamre mein saja kar hua mahrum main shams o qamar se ghana ek ped aangan mein laga kar mujhe mere muqabil kar diya hai kisi ne aaina mujh ko dikha kar khud apna rasta hi kho diya hai safar mein gard panw se uda kar main kaise shauq ki taskin karta kisi zakhmi parinde ko uda kar main chunta phirta hun kaghaz ke tukde kitabon ko samundar mein baha kar ghutan ko kar liya apna muqaddar makan ko shahr se uncha utha kar main us ko jaanta hun baat meri wo ab bhi tal dega muskura kar 'nawed'-e-subh ka hasil hai suraj ujala hoga taron ko mita kar