safar mein gard chhati rasta dikhai diya aur is ke baad mujhe dusra dikhai diya zaban harf se mahrum ho gai hai meri bataun kaise mujhe aur kya dikhai diya mere hi khwab tamanna ki lau mein jalte rahe mera hi aks sar-e-aina dikhai diya nikal ke aap se bahar dikhai kuchh na diya dikhai kuchh na diya to khuda dikhai diya bhatak raha tha main be-samt rahguzaron mein phir ek roz tera naqsh-e-pa dikhai diya