mere hi dam se mehr-o-wafa ka nishan hai ab

mere hi dam se mehr-o-wafa ka nishan hai ab
tujh sa agar nahin hai to mujh sa kahan hai ab

is haal ko pahunch gain dil ki kharabiyan
tera makan hai ab na khuda ka makan hai ab

jati hai aadhi raat magar is ka kya jawab
ghabra ke wo ye kahte hain waqt-e-azan hai ab

sine se mere dast-e-tasalli uthaiye
ye bhi dil-e-nahif ko bar-e-garan hai ab

dekho zara si sharm ne sab kuchh mita diya
wo aankh wo nigah wo chitwan kahan hai ab

kya lutf-e-dosti ki nahin lutf-e-dushmani
dushman ko bhi jo dekhiye pura kahan hai ab

tum ko yaqin nahin to na ho is ka kya ilaj
kam-bakht 'dagh' tum se bahut bad-guman hai ab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close