mere rone par jo roya aadmi fahmida hai

mere rone par jo roya aadmi fahmida hai
naseh-e-aqil purana gurg-e-baran-dida hai

main bhi to dekhun nikalta hai ye tinka kis tarah
chaaragar ki aankh mein mera tan-e-kahida hai

tu ne rakkha hai raqib-e-tursh-ru ke dil pe hath
aaj kyon phika tera dast-e-hina-malida hai

khak mein us ne milaya mujh ko ya main ne use
aaj main hun aur ye mera dil-e-taftida hai

zahr kha kar mil gae hain khak mein aashiq bahut
ungliyan hain dekh to ya sabza-e-roida hai

khub aata hai laga lena nigah-e-yar ko
ek se an-ban hui to dusra girwida hai

bahr-e-nazzara chala hai kucha-e-qatil mein 'dagh'
kis bala ka hai kaleja kis ghazab ka dida hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close