mere hisse ka har phal kyon sada kadwa nikalta hai bharosa jis pe karta hun wahi jhuta nikalta hai meri qismat mein likkhi hi nahin shayad kabhi khushiyan kuan khodun jahan pani wahin khaara nikalta hai yunhi ban kar nahin ubhra hun main hira zamane mein ki har patthar ka mere sar se ek rishta nikalta hai main is ummid par is bar tere pas aaya hun ata hoga jo tere husn ka sadqa nikalta hai har ek shab chand to taron ko le kar sath aata hai magar suraj to bechaara sada tanha nikalta hai kabhi fursat mile to dekh lo tanhai mein aa kar tumhaari yaad mein aankhon se jo dariya nikalta hai koi muflis kare bachche ki khwahish kis tarah puri khilauna jo pasand aata hai wo mahnga nikalta hai sabhi tare falak par itne khush-qismat nahin hote siwa ek chand ke nazdik jo tara nikalta hai nahin bujhti hai shayad pyas ab logon ki pani se jise dekho hamare khun ka pyasa nikalta hai yaqin kis par karen apna kahen kis ko yahan 'tariq' ki ab har shakhs ke chehre pe ek chehra nikalta hai