mere hisse ki udasi mujhe lauta dena ja rahe ho to mujhe koi to tohfa dena ek qatra bhi meri pyas bujha sakta hai main ne kab tum se kaha hai mujhe dariya dena mere sahra mujhe hona hai andheron ke khilaf jis mein suraj bhi chala aae wo khema dena kaun laega kisi pyas ke sajde ka jawab ai khuda dasht na ab karb-o-bala sa dena ek tinka na nikalega bhanwar se mujh ko main samundar se ye kahta hun safina dena