pattharon se na kabhi tut ke ulfat karna jism shishe ka nahin phir bhi hifazat karna ab na chhu lena kabhi phul se rukhsaron ko ungliyan apni jalane ki na zahmat karna jhukne dena na kisi ped ki shakhon ka ghurur dhalte suraj se zara si to murawwat karna ab jo bikhre hain dar-o-baam to hairat kaisi hum ne sikha hi na tha ghar ki hifazat karna lakh maujen hon mukhalif ki hawa ho naraaz par is bar bhi dariya kisi surat karna